Woh Zindagi Humari
Pata nahi kahaan nikal gayi
Woh zindagi humari
Har teesra word tha gaali
Sab chalta tha bhai
Shave din mein do baar karte
Kyunki Senior se phatti rehti thi
Moonch bhale na ho
Par attitude mein koi kami nahi thi
Na jaane kitne funde diye
Ragging mein bhi hanste rehte
Kuch funde follow bhi kiye
Senior ko Sir kehte-kehte
Har sawaal ka jawaab tha:
Take it easy doc
Gaane to sunte the
Par sirf angrezi rock
Padhai ke alaava
Har cheez mein aage rehte
Padhai likhai se kya faayda
Fashion Show aur Axis ke hote
Pata nahin kaise
Raat bhar jaag kar tafri karte
Dost bane bhi aise
Ke ek dusre ki maarte rehte
Badi besabri se hota
Mess off ka intezaar
Har Saturday jaa pahunchte
CRC ke dwaar
Mazzaa to aata Sunday ko
Jab mess mein mehfil jamti
Coffee kitni bhi kadvi ho
Yaari ki mithaas mein ghul jaati
Pata nahi kahaan nikal gayi
Woh zindagi humari
Har teesra word tha gaali
Sab chalta tha bhai
Labels: friendship, JBD, Mood Indigo, SPJIMR, VNIT
4 Comments:
Yaadon k bhoojh ko hata hi rahe the hum
Dil me pada hua dard bahut kuch ho chuka tha kam
Per pata nahi abhi abhi ye bhoojh fir nirankush badhne laga hai
jab se tumne woh zindagi hamari ki dhoomil tasveer ko saaf kiya hai
Per sach me nahi bhool sakte ye hai ek sacchai
un palo ko jab. . .
Har teesra word tha gaali
Sab chalta tha bhai
AWESOME POST YAAR
It takes me back to those days MO. And it makes me happy. Those were the days when there were no limits...and I wish to be back there with you people...'resurrection'
Har teesra word tha gaali
Sab chalta tha bhai
Awesome lines Mo!!!! :)
awesome lines yaara, pata nahi tha tu kavita bhi likh sakta hai....
"bas yaade , yaade, yaade reh jaati hai
kuchh chhoti, chhoti, baate reh jaati hai"
-Purani jeans
Post a Comment
<< Home